can you please explain me the chapter balgobin bhagat

 VYAKTITV : gruhasth the , parivaar rakhte , kabhi jhoot nahi bolte the , khara vyavhar rakhte , kisi se bhi baat karne me sankoch nahi karte , kisi se jhagda nahi mol lete , kisi ki cheez ko nahi choote na bina pooche vyavhar me laate .

VESHBHOOSHA : ve kam kapde pehente the . kamar me ek maatra langoti pehnte aur sir me kabirpanthi ki-si kanfathi topi . jab jaadaa aata toh ek kaali kamli upar se odhe rehte .

KABIR KE BHAGAT : ve kabir ko apna saahab mante the , unhi ke geet gaate the , unhi ke aadesho par chalte the , ve jo unke khet me paida hota use sir par laadkar saahab ke darbaar me le jaate .

MADHUR GAYAK : ve kabir ke seedhe saadhe pad gaate jo unke kanth se nikalkar sajeev ho jate , unki gaayan ke kaaran bachche jhoom uththe , mend par khadi aurate junjunane lagti , halvaao ke pair uthne lagte ...

SANTOSHI VYAKTI : unhe jo kuch mila ya milta ve usi me santusht the , kabhi lalach nahi kiya , jab ve bhagvaan ke geet gaate toh anand va santosh se khade hokar nritya bhi karte

PARMATMA SE PREM : unka prem parmatma se bahut tha , unhone apne bete ki mrutyu par yaha socha ki atma ka parmatma se milan ho gaya hai . ve har mauasam me parmatma ke geet gaate .

MOH MAAYA SE DOOR : ve andh vishvas me kabhi nahi the , jab ganga snan par jaate toh snan par aastha nahi rakhte balki sant sangam aur lokdarshan par rakhte , unke putra ki mrityu par unhone moh se door hokar kriya karm ke paschaat apni putravadhu ke bhai ko bula kar uski kahi aur shaadi karane ka aadesh diya ...

NIYAMO PAR DIRDH : ve atal vyakti the , niyamaanusar ve roz kartik se fagun tak subah jaldi uth kar nadi me snan karne jaate , pokhre ke bhind par baith kar khangdi bajate aur gaane gaate , budhe hone par aur bukhar aane par bhi ve roz nahate , shyam me geet gaate ..

SAMAJ KI PARAMPARA KE VIRODHI : sachmuch ve samajik paramparao ke virodhi the . parampara ke virudh unhone putra ki mout par gaane gaaye aur anand manane ko kah rahe the , unhone putravadhu ko doosri shaadi karne ka aadesh de diya ..

hope u got it

  • 6

niyamo par dridh kaise thed bhagat

bal govin

  • -1
Try to be attentive in the class. U r trying to be over smart. Jitna chadar hai utna hi pair phaila. Aukad me rho.
  • -1
What are you looking for?